shairi mein na kabhi shikwa-e-ruswai kar apne ashaar ki tu khud hi pazirai kar tere viran shab-o-roz bhi rangin honge bas kisi tarah hasinon se shanasai kar jo marizan-e-mohabbat hain ghamon ke mare un ki ashaar-e-zarafat se masihai kar pet ki aag bujha mehnat-o-mazduri se waqt bach jae to mashq-e-sukhan-arai kar bhul kar ishq ka sauda na sama le sar mein aur majnun ki tarah khud ko na saudai kar apni tanhaiyan yaadon se darakhshan kar le phir tasawwur mein sahi anjuman-arai kar aajizi aur na aansu na fughan shamil hai kuchh to fariyaad ko tu qabil-e-shanwai kar waqt ke sath tera dil bhi bahal jaega le ke kaghaz-o-qalam qafiya-paimai kar apne mashuq ke khwabon mein chala ja har shab 'khwah-makhwah' yun bhi ilaj-e-gham-e-tanhai kar aur agar chahe ki ho 'khwah-makhwah' shohrat teri yusufi gar nahin mumkin to zulekhai kar