tarana-e-urdu

hogi gawah khak-e-hindostan hamari
is ki kiyariyon se phuti zaban hamari

hindu hon ya musalman isai hon ki sikh hon
urdu zaban ke hum hain urdu zaban hamari

marna bhi sath is ke jina bhi sath is ke
hum is ke hain muhafiz ye pasban hamari

'khusraw' 'kabir' 'tulsi' 'ghaalib' ki hain amanat
kya be-nishan hogi pyari zaban hamari

qand-o-nabaat se hai badh kar mithas is ki
har daur mein rahi hai ye dilsitan hamari

is mein tanke hue hain kitne hasin sitare
qaumon ki kahkashan hai urdu zaban hamari

phir chahta hai is ko daur-e-jahan mitana
hogi raqam lahu se phir dastan hamari

hain jaan se bhi ziyaada hum ko aziz donon
hindostan hamara urdu zaban hamari

wo bhi to ek din tha hum mir-e-karwan the
taqlid kar raha tha har karwan hamari

hum to har ek zaban ko dete hain pyar apna
phir kis liye mitae koi zaban hamari

hum zabt ki hadon se aage nikal chuke hain
kab tak ye aazmaish ai aasman hamari

'ejaz' mil ke gaen urdu ka sab tarana
gunje faza mein har-su urdu zaban hamari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close