sarhad-e-pak par sabz parcham fazaon mein lahra raha hai jawanan-e-millat ke ehsas-o-jazbe ko garma raha hai ye mera watan hai meri sarzamin hai jise main ne apne lahu ki hararat se naghme ki lai ruh ki tazgi sarkhushi chand ki raushni dilkashi ishq ka walwala husn ka bankpan azm ki pukhtagi bakhsh di hai mujhe yaad hai aazmaish ki khuni ghadi raundne aai thi apne napak qadmon se arz-e-watan ek diwar faulad-o-ahan se takrai jab sard lashon ke ambar us ka muqaddar bane aur tarikh ka faisla ho gaya ye mera watan jis ki tarikh ka har waraq jaan-nisaron jiyalon jawanon ki rasm-e-shujaat ki ek dastan hai jise aane wali nai nasl dohraegi yahi zinda qaumon ki tarikh hai jis ne har daur mein sarfaroshi shahadat watan ki mohabbat ko unwan bana kar nae ahd ki dastan ko mukammal kiya hai yahi meri tarikh ka ek waraq hai jise kal bhi main ne likha tha aaj bhi likh raha hun jise aane wale zamane ka har naujawan garm khun se likhega