tark-e-mohabbat

husn ki maslahaton ka hai taqaza dil se
ki nikal jae gham-e-ishq ka sauda dil se

ho magar jis ki rag-o-pai mein mohabbat sari
jis ke ehsas pe ho nashsha-e-ulfat tari

kis tarah dard-e-mohabbat se kinara kar le
jism aur ruh ki furqat ko gawara kar le

aah lekin ye kasauti hai wafadari ki
aazmaish hai yahi ishq-o-hawas-kari ki

dekh ai dost mere jazba-e-ulfat ko dekh
meri be-laus wafa pak mohabbat ko dekh

tujh se bhi tere liye qata nazar karta hun
tark ulfat ko na karna tha magar karta hun

dida-e-shauq na hoga teri jaanib nigaran
ab na aaegi labon tak mere fariyaad-o-fughan

chashm-e-tar mein ab na ashkon ki nami aaegi
dil ki betabi-e-wahshat mein kami aaegi

kya magar ishq ki fitrat bhi badal jaegi
aah kya yaad teri dil se nikal jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close