gar talluq hi tark karna tha mujh se phir pyar kyon kiya tu ne muskuraati lajati aankhon se ek iqrar kyon kiya tu ne main ne kab tera pyar manga tha main ne kab teri aarzu ki thi main to khamosh tha falak ki tarah main ne kab teri justuju ki thi tu ne khud muskuraati aankhon se mujh ko aawaz de ke chaunkaya mere nazuk na-ashna dil ko husn ka saz de ke chaunkaya ab wo qasmen wo ahd wo wade jaane kya ho gae khuda jaane wo junun-khez aatishi jazbaat ab kahan kho gae khuda jaane jaane kyon ab teri hasin aankhen meri jaanib kabhi nahin uthti jaane kyon ab hasin galon par phul ki pankhudiyan nahin khilti gar talluq hi tark karna tha kash pahle hi kah diya hota aaj main apni zindagani se is qadar dur na hua hota