nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri khamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban meri ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisa teri mahfil mein yahan to baat karne ko tarasti hai zaban meri uthae kuchh waraq lale ne kuchh nargis ne kuchh gul ne chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri uda li qumriyon ne tutiyon ne andalibon ne chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fughan meri tapak ai shama aansu ban ke parwane ki aankhon se sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka hayat-e-jawedan meri na marg-e-na-gahan meri mera rona nahin rona hai ye sare gulistan ka wo gul hun main khizan har gul ki hai goya khizan meri darin hasrat sara umrist afsun-e-jaras daram z faiz-e-dil tapidan-ha kharosh-e-be-nafas daram riyaz-e-dahr mein na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun khushi roti hai jis ko main wo mahrum-e-masarrat hun meri bigdi hui taqdir ko roti hai goyai main harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaat hun pareshan hun main musht-e-khak lekin kuchh nahin khulta sikandar hun ki aaina hun ya gard-e-kudurat hun ye sab kuchh hai magar hasti meri maqsad hai qudrat ka sarapa nur ho jis ki haqiqat main wo zulmat hun khazina hun chhupaya mujh ko musht-e-khak-e-sahra ne kisi ko kya khabar hai main kahan hun kis ki daulat hun nazar meri nahin mamnun-e-sair-e-arsa-e-hasti main wo chhoti si duniya hun ki aap apni wilayat hun na sahba hun na saqi hun na masti hun na paimana main is mai-khana-e-hasti mein har shai ki haqiqat hun mujhe raaz-e-do-alam dil ka aaina dikhata hai wahi kahta hun jo kuchh samne aankhon ke aata hai ata aisa bayan mujh ko hua rangin-bayanon mein ki baam-e-arsh ke tair hain mere ham-zabanon mein asar ye bhi hai ek mere junun-e-fitna-saman ka mera aaina-e-dil hai qaza ke raaz-danon mein rulata hai tera nazzara ai hindostan mujh ko ki ibrat-khez hai tera fasana sab fasanon mein diya rona mujhe aisa ki sab kuchh de diya goya likha kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-khwanon mein nishan-e-barg-e-gul tak bhi na chhod us bagh mein gulchin teri qismat se razm-araiyan hain baghbanon mein chhupa kar aastin mein bijliyan rakkhi hain gardun ne anadil bagh ke ghafil na baithen aashiyanon mein sun ai ghafil sada meri ye aisi chiz hai jis ko wazifa jaan kar padhte hain tair bostanon mein watan ki fikr kar nadan musibat aane wali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmanon mein zara dekh us ko jo kuchh ho raha hai hone wala hai dhara kya hai bhala ahd-e-kuhan ki dastanon mein ye khamoshi kahan tak lazzat-e-fariyaad paida kar zamin par tu ho aur teri sada ho aasmanon mein na samjhoge to mit jaoge ai hindostan walo tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein yahi aain-e-qudrat hai yahi uslub-e-fitrat hai jo hai rah-e-amal mein gam-zan mahbub-e-fitrat hai huwaida aaj apne zakhm-e-pinhan kar ke chhodunga lahu ro ro ke mahfil ko gulistan kar ke chhodunga jalana hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhan se teri tarik raaton mein charaghan kar ke chhodunga magar ghunchon ki surat hun dil-e-dard-ashna paida chaman mein musht-e-khak apni pareshan kar ke chhodunga pirona ek hi tasbih mein in bikhre danon ko jo mushkil hai to is mushkil ko aasan kar ke chhodunga mujhe ai ham-nashin rahne de shaghl-e-sina-kawi mein ki main dagh-e-mohabbat ko numayan kar ke chhodunga dikha dunga jahan ko jo meri aankhon ne dekha hai tujhe bhi surat-e-aina hairan kar ke chhodunga jo hai pardon mein pinhan chashm-e-bina dekh leti hai zamane ki tabiat ka taqaza dekh leti hai kiya rifat ki lazzat se na dil ko aashna tu ne gizari umr pasti mein misal-e-naqsh-e-pa tu ne raha dil-basta-e-mahfil magar apni nigahon ko kiya bairun-e-mahfil se na hairat-ashna tu ne fida karta raha dil ko hasinon ki adaon par magar dekhi na us aaine mein apni ada tu ne tassub chhod nadan dahr ke aaina-khane mein ye taswiren hain teri jin ko samjha hai bura tu ne sarapa nala-e-bedad-e-soz-e-zindagi ho ja sapand-asa girah mein bandh rakkhi hai sada tu ne safa-e-dil ko kya aaraish-e-rang-e-talluq se kaf-e-aina par bandhi hai o nadan hina tu ne zamin kya aasman bhi teri kaj-bini pe rota hai ghazab hai satr-e-quran ko chalipa kar diya tu ne zaban se gar kiya tauhid ka dawa to kya hasil banaya hai but-e-pindar ko apna khuda tu ne kuen mein tu ne yusuf ko jo dekha bhi to kya dekha are ghafil jo mutlaq tha muqayyad kar diya tu ne hawas baala-e-mimbar hai tujhe rangin-bayani ki nasihat bhi teri surat hai ek afsana-khwani ki dikha wo husn-e-alam-soz apni chashm-e-pur-nam ko jo tadpata hai parwane ko rulwata hai shabnam ko zara nazzara hi ai bul-hawas maqsad nahin us ka banaya hai kisi ne kuchh samajh kar chashm-e-adam ko agar dekha bhi us ne sare aalam ko to kya dekha nazar aai na kuchh apni haqiqat jam se jam ko shajar hai firqa-arai tassub hai samar us ka ye wo phal hai ki jannat se nikalwata hai aadam ko na uttha jazba-e-khurshid se ek barg-e-gul tak bhi ye rifat ki tamanna hai ki le udti hai shabnam ko phira karte nahin majruh-e-ulfat fikr-e-darman mein ye zakhmi aap kar lete hain paida apne marham ko mohabbat ke sharar se dil sarapa nur hota hai zara se bij se paida riyaz-e-tur hota hai dawa har dukh ki hai majruh-e-tegh-e-arzu rahna ilaj-e-zakhm hai aazad-e-ehsan-e-rafu rahna sharab-e-be-khudi se ta-falak parwaz hai meri shikast-e-rang se sikha hai main ne ban ke bu rahna thame kya dida-e-giryan watan ki nauha-khwani mein ibaadat chashm-e-shair ki hai har dam ba-wazu rahna banaen kya samajh kar shakh-e-gul par aashiyan apna chaman mein aah kya rahna jo ho be-abru rahna jo tu samjhe to aazadi hai poshida mohabbat mein ghulami hai asir-e-imtiyaz-e-ma-o-tu rahna ye istighna hai pani mein nigun rakhta hai saghar ko tujhe bhi chahiye misl-e-habab-e-abju rahna na rah apnon se be-parwa isi mein khair hai teri agar manzur hai duniya mein o begana-khu rahna sharab-e-ruh-parwar hai mohabbat nau-e-insan ki sikhaya is ne mujh ko mast be-jam-o-subu rahna mohabbat hi se pai hai shifa bimar qaumon ne kiya hai apne bakht-e-khufta ko bedar qaumon ne bayaban-e-mohabbat dasht-e-ghurbat bhi watan bhi hai ye virana qafas bhi aashiyana bhi chaman bhi hai mohabbat hi wo manzil hai ki manzil bhi hai sahra bhi jaras bhi karwan bhi rahbar bhi rahzan bhi hai maraz kahte hain sab is ko ye hai lekin maraz aisa chhupa jis mein ilaj-e-gardish-e-charkh-e-kuhan bhi hai jalana dil ka hai goya sarapa nur ho jaana ye parwana jo sozan ho to sham-e-anjuman bhi hai wahi ek husn hai lekin nazar aata hai har shai mein ye shirin bhi hai goya be-sutun bhi kohkan bhi hai ujada hai tamiz-e-millat-o-ain ne qaumon ko mere ahl-e-watan ke dil mein kuchh fikr-e-watan bhi hai sukut-amoz tul-e-dastan-e-dard hai warna zaban bhi hai hamare munh mein aur tab-e-sukhan bhi hai nami-gardid ko tah rishta-e-mani riha kardam hikayat bud be-payan ba-khamoshi ada kardam