tel ke saudagar

bukhara samarqand ek khal-e-hindu ke badle!
baja hai bukhara samarqand baqi kahan hain?
bukhara samarqand nindon mein madhosh
ek nil-gun khamushi ke hijabon mein mastur
aur rahrawon ke liye un ke dar band
soi hui mah-jabinon ki palkon ke manind
rusi hama-ust ke taziyanon se mazur
do mah-jabinen!
bukhara samarqand ko bhul jao
ab apne darakhshanda shahron ki
tahran o mashhad ke saqf o dar-o-baam ki fikr kar lo
tum apne nae daur-e-hosh-o-amal ke dil-awez chashmon ko
apni nai aarzuon ke in khub-surat kinayon ko
mahfuz kar lo!
in unche darakhshanda shahron ki
kotah fasilon ko mazbut kar lo
har ek burj-o-baro par apne nigahban chadha do
gharon mein hawa ke siwa
sab sadaon ki shamen bujha do!
ki bahar fasilon ke niche
kai din se rahzan hain khema-fagan
tel ke budhe sauda-garon ke libaade pahan kar
wo kal raat ya aaj ki raat ki tirgi mein
chale aaenge ban ke mehman
tumhaare gharon mein
wo dawat ki shab jam-o-mina ludhaenge
nachenge gaenge
be-sakhta qahqahon hamhamon se
wo garmaengee khun-e-mahfil!
magar pau phategi
to palkon se khodoge khud apne murdon ki qabren
bisat-e-ziyafat ki khakistar-e-sokhta ke kinare
bahaoge aansu!
bahae hain hum ne bhi aansu!
go ab khal-e-hindu ki arzish nahin hai
ezar-e-jahan par wo rista hua gahra nasur
afrang ki aaz-e-khun-khwar se ban chuka hai
bahae hain hum nai bhi aansu
hamari nigahon ne dekhe hain
sayyal sayon ke manind ghulte hue shahr
girte hue baam-o-dar
aur minar o gumbad
magar waqt minar hai
aur dushman ab us ki khamida kamar se guzarta hua
us ke nichle ufaq par ludhakta chala ja raha hai
hamare barahna o kahida jismon ne
wo qaid-o-band aur wo taziyane sahe hain
ki un se hamara sitamgar
khud apne alaw mein jalne laga hai!
mere hath mein hath de do!
mere hath mein hath de do!
ki dekhi hain mein ne
himala o alwand ki chotiyon par shuaen
unhin se wo khurshid phutega aakhir
bukhara samarqand bhi sal-ha-sal se
jis ki hasrat ke daryuza-gar hain!
This is a great madhosh mohabbat shayari. True lovers of ramzan shayari hindi me will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this raaz shayari urdu is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close