tesha-e-karb kandhon pe rakkhe hue kohkan be-aman phir rahe hain yahan khwahishon ke diye sab dhuan ho gae wo jo mazi ke chamkile auraq the un pe likkhe hue git gum ho gae khwab ki bastiyon mein koi sar-phira apni palkon se taqdir gadhta raha aur tarikiyan munh chhupae hue haal-e-rafta pe aansu bahati rahin pastiyon ke safar se palatte hue dhul udate hue rath pareshan hain yun bulandi se khaif bhala kyun hue ye musafir sabhi oxigen se dam un ka ghutta hai kyun