aandhiyan hoti hain kya, tufan kahte hain kise! pahle to mitti ki ek hasti bana, phir mujh se puchha barishen hoti hain kya, sailab kahte hain kise! pahle to kaghaz ki ek kashti bana, phir mujh se puchha puchhta kya hai bata! ai khwab, mere khayal se tut jati hain meri ninden, tere singar se dekh kar ye jazba be-ikhtiyari, mehrban sar se pa tak aatish-e-khamosh ho jata hun main main nahin rahta hun main aaghosh ho jata hun main dekhta hun jhank kar dil mein, jahan parde mein gum khubsurat si teri taswir ka namus tha ab wahan par wo nahin, namus bhi koi nahin han magar tu hai wahan sar-ta-qadam fanus mein pairahan ek ek utare ja rahi hai kya kahun! kaise kahun! har raaz uth jaane ke baad main to mushkil ho gaya aasan hai tu aaine ke samne ki baat kya han pas-e-aina bhi uryan hai tu jin mein the tere zard aur zamurrad ke charagh jin mein the almas tere aur almason ke dagh jin mein tha ek hauz tera aur us mein phul bagh jo utare hain badan se be-badan, kya chum lun! naqsh-e-fariyaadi se tere pairahan, kya chum lun!
This is a great khubsurat shayari fb. True lovers of barish shayari hindi 140 will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ikhtiyar shayari. Please share if you liked this!!!