Thahra pani

chhal chhal karti
dhaara pani ki

zehn ko jaise
aaina dikhae

dam dam badhti
jiwan dhaara ka

bharam batae
par waqt jaisa

shital jal bhi
mutthi mein se

chhin jata hai
khali mutthi

bhigi bhigi
yaad dilae

shital jal ki
aas-pas

sab thahra thahra hai
jaise dhaara

jam si gai ho
jiwan jaise

tham sa gaya ho
is thahre thahre

gadle pani mein
khauf ki kali kali machhli

sab jaise
meri hi tak mein

murda bani hon
aur main

in ko zinda karne ko
anjaane mein

sab ko khush karne ko
apna aap

kaise ganwa dun
jami dhaara ke

gadle pani mein
apna aks

kaise dubo dun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close