touch screen

main apni shairi
ek diary mein note karta tha

koi ehsas mujh mein nazm bharta
ya koi misra utarta tha

to sab se pahle mujh ko
note-book darkar hoti thi

jahan kaghaz ki hiddat se
qalam ki raushnai ki hararat se

ghazal tayyar hoti thi
bina is dhimi dhimi aanch ke

mere liye har nazm hi dushwar hoti thi
phir ek din mujh ko chacha-zad bhai ne ye batlaya

wo khud bhi naujawan urdu ka shair hai
wo apni shairi cell-phone mein mahfuz karta hai

so jab chahe use padhta hai
auron se share karke unhen mahzuz karta hai

use bijli ke aane jaane se
kuchh farq padta hi nahin

na hi use din raat se kuchh lena dena hai
use jab shairi karni ho

to kaghaz qalam ki khoj mein
lamha talak zaea nahin karta

jahan wo sher apna note karta hai
andhera bhi wahan saya nahin karta

so us ki baat sun kar
main ne apni diary sambhaal li

aur apne mobile mein misra likhte likhte
dost ki ek kal li

phir kal ghanton tak chali
be-kar ki khwahish wo misra pura karne ki

mere andar pali
lekin wo phir jati rahi

phir yun hua jab bhi koi ilham
mere dar ko khatkata raha

jab kaifiyat koi mere ehsas tak aati rahi
main us samay

cell-phone ko dhunda kiya
lekin wahan ehsas ko ek rabt mein

tahrir kar pane se pahle
bison be-rabt behis notifications

meri screen par zahir hue
aur hum hamesha ke liye kuchh likhne se qasir hue

gum ho gae in be-hison ki fauj mein
aai na meri shairi phir mauj mein

ab sochta hun kya purani diary behtar nahin
diwan mera phone ke andar nahin

touch screen ke us par hai
shayad mere alfaz ki yak-bastagi ko

sirf kaghaz ki tapish darkar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close