un logon ke andar jin ke andar mein bhi hun mere bar-aks aise bhi hain kuchh log jin ki baaton ke kuchh sachche rup un ke harbe hain lekin ye sach un ka nahin hota ye sach auron se chhina hua hota hai apne jhut aur apni badi ko chhapane ki khatir wo auron ki ek ek achchhai ko hathya lete hain aur phir us hathiyar ko le kar jab wo chalte hain sari duniya un se darti hai ye bhi kaisa zamana hai jab achchhon ki sab achhaiyan buron ke hathon mein harbe hain sachche log agar jiwat hun kaun un ke munh aaega jhut ke us talab ke sab kachhwe apne apne khol mein apne apne kale zamiron mein chhup jaenge