main urdu hun mujhe ghairon se kya khatra kabhi dushman se hota hi nahin khatra kisi ko bhi sabab tum bhi samajhte ho ki dushman har ghadi har pal muqabil hi raha karta hai dushman ke muqabil se to maidanon mein akasr jang hoti hai natija jang ka tum bhi samajhte ho mahaz-e-jang pur-khatar hai nahin hota shikast-o-fath hoti hai to phir khatra kahan se hai suno rudad-e-gham dil tham kar sunna zara logo mujhe khatra hai apnon se mujhe khatra hai shair aur danish-war adibon se mujhe naqqad se khatra muhaqqiq se mujhe khatra ye sare log wo hain jo talluq se mere ab tak zamin se arsh tak dawe to karte hain bulandi ke muhafiz khud ko urdu ka kaha karte hain ye akasr ye dawa sab baja lekin koi puchhe zara un se tumhaare pyare bachchon mein koi aisa bhi bachcha hai ki jis ko aap ne urdu se bahra-war kiya ab tak agar koi ye puchhega shikan mathe pe aaegi nafi mein sar jhukaenge yahi qatil to hain mere yahi to mere apne hain unhen se mujh ko khatra hai unhen pahchan lo logo unhen pahchan lo logo