usi aag mein mujhe jhonk do wahi aag jis ne bulaya tha mujhe ek din dam-e-shoalagi dam-e-shoalagi mera intizar kiya bahut kai khushk lakdiyon shakhchon, ke hisar mein jahan barg-o-bar ka dher tha dam-e-shoalagi mujhe ek patte ne ye kaha tha ghamand se idhar aa ke dekh ki is tapida khumar mein hamin hum hain lakdiyon shakhchon ke hisar mein yahan aur kaun wajud hai yahan sirf hum hain ruke hue kahin aadhe aur kahin pure pure jale hue dam-e-shoalagi hamein jo masarrat-e-raqs thi tumhein kya khabar agar aag tum ko aziz thi to ye jism kaun si chiz thi jise tum kabhi na jala sake wo jo raaz tha pas-e-shoalagi nahin pa sake! so kaha tha main ne ye ek adh-jale barg se mujhe dukh bahut hai ki aag ne mera intizar kiya bahut magar un dinon kisi aur tarz ki aag mein mera jism jalne ki aarzu mein asir tha magar un dinon main na jal saka main na jun apni badal saka magar ab wo aag ki jis mein tum ne panah li jahan tum jale jahan tum ajib si lazzaton se gale mile usi aag mein mujhe jhonk do