wo hansmukh aur hasin ladki jo ab tak mujh mein zinda hai nahin badli hai wo ab tak usi fitrat mein raushan hai usi hairat mein zinda hai guzarte waqt ke ham-rah bahut manzar badalte hain hua ke rukh badalte hain hamari zat ke yun to sabhi mausam badalte hain nahin badli hai wo ab tak wo hansmukh aur hasin ladki magar main jaanti kab hun wo mujh mein mar chuki hai ya hai wo zinda