utho hind ke baghbano utho utho inqilabi jawano utho kisanon utho kaam-garo utho nai zindagi ke shararo utho utho khelte apni zanjir se utho khak-e-bangal-o-kashmir se utho wadi o dasht o kohsar se utho sindh o punjab o malbar se utho malwe aur mewat se maharashtra aur gujraat se awadh ke chaman se chahakte utho gulon ki tarah se mahakte utho utho khul gaya parcham-e-inqalab nikalta hai jis tarah se aaftab utho jaise dariya mein uthti hai mauj utho jaise aandhi ki badhti hai fauj utho barq ki tarah hanste hue kadakte garajte baraste hue ghulami ki zanjir ko tod do zamane ki raftar ko mod do