wadi-e-pinhan

waqt ke dariya mein utthi thi abhi pahli hi lahr
chand insanon ne li ek wadi-e-pinhan ki rah
mil gai un ko wahan
aaghosh-e-rahat mein panah
kar liya tamir ek mausiqi o ishrat ka shahr
mashriq-o-maghrib ke par
zindagi aur maut ki farsuda shah-rahon se dur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis jagah har subh ko milta hai ima-e-zuhur
aur bune jate hain raaton ke liye khwab ke jal
sikhti hai jis jagah parwaz hur
aur farishton ko jahan malta hai aahang-e-surur
gham-nasib ahrimanon ko girya-e-ah-o-fughan
kash batla de koi
mujh ko bhi is wadi-e-pinhan ki rah
mujh ko ab tak justuju hai
zindagi ke taza jaulan-gah ki
kaisi be-zari si hai
zindagi ke kohna aahang-e-musalsal se mujhe
sar-zamin-e-zist ki afsurda mahfil se mujhe
dekh le ek bar kash
us jahan ka manzar-e-rangin nigah
jis jagah hai qahqahon ka ek darakhshanda wafur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis ki rifat dekh kar khud himmat-e-yazdan hai chur
jis jagah hai waqt ek taza surur
jis jagah ahrimanon ka bhi nahin kuchh ikhtiyar
mashriq-o-maghrib ke par
This is a great image shayari sad. True lovers of hurt shayari wallpaper will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aaj ka insaan shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close