main jauhar par muqaddam hun mere paon ki bedi ye zamana ban nahin sakta na hi mahdud hun aur na-gahani bhi nahin hun main muqaddar tha mera mazi magar main haal, mustaqbil ka sauda sar mein rakhti hun main hi to markazi kirdar hun apni kahani ka asasi kuchh nahin hai mantiqi na jauhari kuchh hai main khud mein dub kar tashkil-e-nau karti hun khud apni mein khud takhliq karti hun makan ke mani-o-mafhum sachchai mujh se phuti hai main sachchi hun magar duniya ye jhuti hai