tumhaari qabr par main fatiha padhne nahin aaya mujhe malum tha tum mar nahin sakte tumhaari maut ki sachchi khabar jis ne udai thi wo jhuta tha wo tum kab the koi sukha hua patta hawa se mil ke tuta tha meri aankhen tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak main jo bhi dekhta hun sochta hun wo wahi hai jo tumhaari nek-nami aur bad-nami ki duniya thi kahin kuchh bhi nahin badla tumhaare hath meri ungliyon mein sans lete hain main likhne ke liye jab bhi qalam kaghaz uthata hun tumhein baitha hua main apni hi kursi mein pata hun badan mein mere jitna bhi lahu hai wo tumhaari laghzishon nakaamiyon ke sath bahta hai meri aawaz mein chhup kar tumhaara zehn rahta hai meri bimariyon mein tum meri lachaariyon mein tum tumhaari qabr par jis ne tumhaara nam likha hai wo jhuta hai tumhaari qabr mein main dafn hun tum mujh mein zinda ho kabhi fursat mile to fatiha padhne chale aana
Please share if you liked this!!!