wapsi

narm ret par masum bachchon ki tarah daudte hue
us ne meri taraf dekha

aur shararat se muskuraya
aati jati lahron se athkheliyan karte hue

us ne mera hath pakda
aur samundar mein khinch liya

main sharmai
umr ne sah-pahar ka labaada utar diya

sanjidgi pani mein utar kar
shokh ho gai

us roz goa ke sahil par
hamari

meri aur mere ham-safar ki dhalti hui umr ne pichhe mud kar dekha
aur khilkhilati hui ek bar phir jawan ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close