main udte hue panchhiyon ko daraata hua kuchalta hua, ghas ki kalghiyan giraata hua gardanen in darakhton ki, chhupta hua jin ke pichhe se nikla chala ja raha tha wo suraj taaqub mein tha us ke main! giraftar karne gaya tha use jo le ke meri umr ka ek din bhagta ja raha tha!
Please share if you liked this!!!