waqt ki ret pe suraj ne lahu thuka phir saaten koda ke daghon mein naha kar niklin machhliyan lams ke hathon mein ghadi bhar na rukin haddiyan khwab ke kutton ne chabain shab bhar hijraten apne muqaddar mein lahu-chehra hain kaun khamyaza bhugatne ki salakhen chate kaun zanjir ke halqon mein samundar bandhe kaun lafzon ke mazaron pe nae phul rakhe kaun sayon ko talashe yahan qindil liye abrha kaba ki diwar ke sae mein jale kanch ki chudiyan bajti hain lahu ki tah mein