wo ek sawal jo tu ne kiya tha main usi ka jawab dhundh raha hun kabhi sard raaton mein kabhi ghanghor barishon mein kabhi bhuk pyas mein kabhi tanha teri yaad mein kai sadiyan guzar din yun tere intizar mein main aa kar wahin ruk gaya jahan tha tere khayal mein phir wapas wahin ulajh gaya tere sawal ke jawab mein sach mein jo ek sawal tu ne kiya tha main abhi bhi usi ka jawab dhundh raha hun