wo harf-e-tanha

hamare aaza jo aasman ki taraf dua ke liye uthe hain
(tum aasman ki taraf na dekho!)
maqam-e-nazuk pe zarb-e-kari se jaan bachane ka hai wasila
ki apni mahrumiyon se chhupne ka ek hila?
buzurg-o-bartar khuda kabhi to (bahisht-e-bar-haq)
hamein khuda se najat dega
ki hum hain is sarzamin pe jaise wo harf-e-tanha
(magar wo aisa jahan na hoga) khamosh o goya
jo aarzu-e-visal-e-mani mein ji raha ho
jo harf-e-mani ki yak-dili ko taras gaya ho
hamein muarra ke khwab de do
(ki sab ko bakhshen ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)
hamein muarra ki ruh ka iztirab de do
(jahan gunahon ke hausle se mile taqaddus ke dukh ka marham)
ki us ki be-nur-o-tar aanhken
darun-e-adam ki tera raaton
ko chhedti thin
usi jahan mein firaq-e-jaan-kah-e-harf-o-mani
ko dekhti thin
bahisht us ke liye wo masum sada-lauhon ki aafiyat tha
jahan wo nange badan pe jabir ke taziyanon se bach ke
rah-e-farar paen
wo kafsh-e-pa tha ki jis se ghurbat ki reg-e-baryan
se roz-e-fursat qarar paen
ki sulb-e-adam ki rahm-e-hawwa ki uzlaton mein
nihayat-e-intizar paen!
(bahisht sifr-e-azim lekin hamein wo gum-gashta hindse hain
baghair jin ke koi musawat kya banegi
visal-e-mani se harf ki baat kya banegi?)
hum is zamin par azal se pirana-sar hain mana
magar abhi tak hain dil tawana
aur apni zulida-kariyon ke tufail dana
hamein muarra ke khwab de do
(bahisht mein bhi nashat yak-rang ho to gham hai
ho ek sa jam-e-shahd sab ke liye to sam hai)
ki hum abhi tak hain is jahan mein wo harf-e-tanha
(bahisht rakh lo hamein khud apna jawab de do!)
jise tamanna-e-wasl-e-mana
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close