jaan-e-'sahba' sach kaho paiham sahaare yaad hain wo nigah-e-awwalin ke kya sharare yaad hain yaad hain wo dard ki badhti hui betabiyan sard aahen khushk-lab aansu ke dhaare yaad hain wo mai-e-ulfat pila dena nigah-e-mast se wada-e-rangin ke wo alfaz pyare yaad hain nau-ba-nau saz-e-mohabbat ki wo naghma-sanjiyan wo tarannum wo tabassum wo nazare yaad hain yaad hain wo bazm-e-ishrat ki sukun-samaniyan shab ki khamoshi wo dariya ke kinare yaad hain wo faza-e-ruh-parwar wo bahaar-e-jaan-faza wasl ki shab ke tumhein wo chand tare yaad hain meri jaanib wo bhari mahfil mein khamoshi ke sath apni chashm-e-mast ke rangin ishaare yaad hain phir zara dhime suron mein gungunana sher ka phul se jhadte hue gardun ke tare yaad hain aadhi aadhi raat tak sham-e-mohabbat ki bahaar subh ki tanwir mein jalwe tumhaare yaad hain yaad hain 'sahba' shabab-o-sher ki ranginiyan han hadis-e-ishq ke alfaz sare yaad hain aaj bhi main sun raha hun naghma-ha-e-jaan-faza daudti hai saz-e-hasti mein teri rangin nawa