suhani raat mein dilkash nazare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain usi surat se din dhalta hai suraj dub jata hai usi surat se shabnam mein har ek zarra nahata hai tadap jata hun main jab dil zara taskin pata hai usi andaz se mujh ko sahaare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain akele main tumhaari yaad se bach kar kahan jaun? lab-e-khamosh ki fariyaad se bach kar kahan jaun? tumhin kah do dil-e-nashad se bach kar kahan jaun? kinayon ko bhulata hun ishaare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain nigahon mein abhi tak hai usi din raat ka manzar tumhaare sath mein bite hue lamhat ka manzar machalte, muskuraate, jagte, jazbaat ka manzar tasawwur-afrin wo shah-pare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain meri nazron se ojhal ab maqam-e-johd-e-hasti hai na wo ehsas-e-ishrat hai, na wo anjum-parasti hai akela jaan kar mujh ko meri tanhai dasti hai mujhe bite hue lamhat sare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain tamannaon ke mele ab nahin lagte kabhi dil mein kashish baqi rahi koi na rahon mein, na manzil mein dhuan sa ab nazar aata hai mujh ko mah-e-kaamil mein tumhaare sath jitne din guzare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain gila is ka nahin kyun tum ne mujh se apna munh moda nahin qabu tha apne dil pe paiman-e-wafa toda tumhaari yaad ne lekin na kyun ab tak mujhe chhoda ye kyun paiham mujhe paiman tumhaare yaad aate hain nahin ho tum magar wo chand tare yaad aate hain
This is a great dilkash shayari photo. True lovers of suhani subah shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this aankhon mein nasha shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!