yaadon ki zanjiren

apne aap se ladte ladte ek zamana bit gaya
ab main apne jism ke bikhre tukdon ke ambar pe baitha

soch raha hun
mera in se kya rishta hai

in ka aapas mein kya rishta hai
kaun hun main

aur kis talwar se main ne apne jism ke tukde kate hain
ab main kya hun

aur ab mujh ko kya karna hai
main ne kya tamir kiya tha

chhoti chhoti yaadon ki zanjir se
main ne apne ang ang ko bandh liya tha

apne gird purane aur nae lafzon ki diwaren chun li thin
ab mera in diwaron se

in zanjiron se
koi rishta baqi hai to itna hai

jaise apni rihai ka mujh ko yaqin na ho
main diwana hun

ab mujh se itna faiz karo yaro
main ne jitne sher likhe hain mere sar pe de maro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close