pakiza thahrai jaane wali diwaron par likkha hai yahan likhna mana hai wahin likh dete hain log be-sharmi se galiyan ba-huda nare farsuda mazhabi ahkaamat main likh dun wahan wo lafz jo mere andar mar rahe hain par likh nahin sakta diwaren rokti hain mujhe rokti hain mere andar diwaron ko girne se ek jeneral kahta hai ya awam ka numainda kahta hai chup raho gidgidate hue bolo main likh dun meri man ko meri mahbuba hona chahiye tha aur mere bap ko meri aankhon se dur likh dun saffak sabab apne dil mein darad padne ka jo ek din aap hi aap khandar mein badal jaega main likh dun wo sab jo yahan likhna mana hai!
This is a great dard wali shayari. Please share if you liked this!!!