soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin apni banhon ka yahi rang numayan na karo husn khud zinat-e-mahfil hai charaghan na karo nim-uryan sa badan aur ubharte sine tang aur reshmi malbus dhadakte sine tar jab tut gae saz koi saz nahin tum to aurat ho magar jins-e-giran ban na sakin aur aankhon ki ye gardish ye chhalakte hue jam aur kulhon ki lachak mast chakoron ka khiram shama jo der se jalti hai na bujhne pae karwan zist ka is tarah na lutne pae tum to khud apni hi manzil ka nishan ban na sakin raat kuchh bhig chali dur sitare tute tum to aurat hi ke jazbaat ko kho deti ho taliyon ki isi naddi mein dubo deti ho muskurahat sar-e-bazar bika karti hai zindagi yas se qadmon pe jhuka karti hai aur sailab umadta hai sahaare tute dur hat jao nigahen bhi sulag utthi hain warzishon ki ye numaish tu bahut dekh chuka pindaliyon ki ye numaish tu bahut dekh chuka jao ab dusre haiwan yahan aaenge bhes badle hue insan yahan aaenge dekhti kya ho ye banhen bhi sulag utthi hain soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin