ye kaisi ghadi hai zamani tasalsul ka pahiya ghuma kar yahan waqt ko jaise fitrat se kata gaya hai khalijen jo rakhi gain nur-o-zulmat ke mabain in sab ko pata gaya hai samay raat ka hai magar dhup suraj se le kar ijazat hamare sirhane khadi hai ye kaisi ghadi hai ye kaisi ghadi hai ki jaise hamare sirhane ka bilkul hamari hi taqwim ka aur hamare zamane ka ek taq hai jis pe koi muqaddas sahifa nahin ek riya-kar mashal dhari hai musaffa surahi mein aab samawi nahin reg-e-isyan bhari hai bahishti darakhton ke pak aur ras asmar mein koi nok-e-najasat gadi hai khudaya tere nek bandon pe uftad kaisi padi hai ye kaisi ghadi hai