akhtaruzzaman nasir waqt jaise roya ho dhup narm lahje mein jaise aaj goya ho dur koi masjid mein bich asr o maghrib ke jaise khoya khoya ho akhtaruzzaman nasir main tumhaari aankhon se dekhta tha duniya ko main tumhaare hathon se zindagi ko chhuta tha main tumhaare qadmon se napta tha raston ko main tumhaari sanson se sunghta tha khushbu ko main tumhaara manzar tha be-sada samundar tha sar pe aasman tum the han mera bayan tum the aur meri dharti mein chahaten tumhaari thin aadaten tumhaari thin din tumhaare lahje ki chhanw mein guzarte the zindagi se ladte the zindagi se darte the akhatruzzaman nasir jaane kyun hua badli charkh ne bhi rukh badla dur masjid-e-jaan se kyun azan-e-dil ubhri sajda-e-talab chamka harf-e-kunj-e-lab chamka din ghurub hote hi zauq-e-muntakhab chamka kash ye nahin hota kash main wahin hota akhtaruzzaman nasir main kisi tamaddun ka aakhiri musafir hun main hazar khwabon ki daud-dhup mein shamil main hazar jazbon ki rel-pel ka aadi main hazar hathon se zindagi banata hun main hazar qadmon se raston pe chalta hun main hazar shanon pe karwaten badalta hun main hazar aankhon se manzaron mein dhalta hun main asir duniya ka main basir farda ka main waraq hun mazi ka waqt hai munadi ka darte darte kahta hun main bhi ek shaer hun akhtaruzzaman nasir ye safar jo jari hai kaun is ka jada hai kaun is ki manzil hai lautna bhi mushkil hai main to jaise bhar paya aur ek dar paya roz-o-shab ka halqa hai main bhi ek qaidi hun subh ka andhera hun sham ki safedi hun akhtaruzzaman nasir naukri hai sarkari badtarin samjhauta, badtarin dushwari aaj mere hathon mein tir hain na patthar hain aaj meri aankhon mein khwab hain na manzar hain main sag-e-malamat ki sun raha hun aawazen roz-o-shab ke narghe se bhagna bhi mushkil hai aur aise aalam mein farz-e-ain wajib hai shughl-e-mai bhi jaez hai akhtaruzzaman nasir hukm mujh ko azbar hai tin nannhi dhupen hain wo nafis paikar hai jin ke sath jina hai dhup hai to sahni hai bas yahi guzarish hai ek chhoti tabdili sirf itni khwahish hai akhtaruzzaman nasir e'tidal lazim hai ye khalaf ka wada hai dur hai khuda lekin tosha-e-saadat hai raushni ka jada hai