ye pichhle ishq ki baaten hain jab aankh mein khwab damakte the jab dilon mein dagh chamakte the jab palken shahr ke raston mein ashkon ka nur lutati thin jab sansen ujle chehron ki tan man mein phul sajati thin jab chand ki rim-jhim kirnon se sochon mein bhanwar pad jate the jab ek talatum rahta tha apne be-ant khayalon mein har ahd nibhane ki qasmen khat khun se likhne ki rasmen jab aam thin hum dil walon mein ab apne phike honton par kuchh jalte bujhte lafzon ke yaqut pighalte rahte hain ab apni gum-sum aankhon mein kuchh dhul hai bikhri yaadon ki kuchh gard-alud se mausam hain ab dhup ugalti sochon mein kuchh paiman jalte rahte hain ab apne viran aangan mein jitni subhon ki chandi hai jitni shamon ka sona hai us ko khakistar hona hai ab ye baaten rahne dije jis umr mein qisse bante the us umr ka gham sahne dije ab apni ujdi aankhon mein jitni raushan si raaten hain us umr ki sab saughaten hain jis umr ke khwab khayal hue wo pichhli umr thi bit gai wo umr bitae sal hue ab apni did ke raste mein kuchh rang hai guzre lamhon ka kuchh ashkon ki baraaten hain kuchh bhule-bisre chehre hain kuchh yaadon ki barsaten hain ye pichhle ishq ki baaten hain