chhoti si hai baat samajh lena 'farhan' zaruri hai dharti se aakash talak ho utna gyan zaruri hai achchhe aur bure ki sohbat apna rang dikhati hai khote aur khare ki tum ko ho pahchan zaruri hai mil-jul kar rahna hai jiwan mil-jul kar hum rahte hain gita ke shlok zaruri hain quran zaruri hai honi to ho kar rahti hai lekin itna yaad rahe nanhe nanhe honton par khele muskan zaruri hai prem ki khushbu chappe chappe mein tum ko phailana hai sun lo meri aankh ke taro ye elan zaruri hai hum ko apne desh ki khatir jina hai mar jaana hai is duniya ko rahna hai to hindostan zaruri hai