main talash kar rahi thi gham-e-dil ka kuchh bahana meri rah mein ye nahaq kahan aa gaya zamana mere haal par karam kar kabhi dost ghaebana wo sukun bakhsh dil ko ki tadap uthe zamana hai tawaf ab bhi jari tere aastan ka lekin nahin mil saka jabin ko tera sang-e-astana teri bargah tak ho meri kis tarah rasai mujhe di gai gadai tujhe takht-e-khusrawana main tadap tadap ke gham mein rahi be-qarar-o-muztar mere dil ki dhadkanon ko nahin sun saka zamana mera shauq-e-sajda-rezi hai hanuz na-mukammal mujhe koi ye bata de hai kahan wo aastana mere gham ki zindagi par mere haal-e-bekasi par kabhi rahm un ko aae kabhi ro pade zamana kai bar aa ke bijli giri sehn-e-gulsitan par ye rahi hamari qismat ki jala na aashiyana mujhe hosh hi nahin kuchh ki main shad hun ki 'nashad' hai surur-e-mai se badh kar mera zauq-e-shairana