zindagi ke afsane

subh ka jawan suraj
chahchahe parindon ke

aankh kholti kaliyan
hanste khelte bachche

zindagi ki raunaq hain
zindagi ke mele mein

har khushi unhin se hai
un ki muskurahat se

chandni bikharti hai
dilhanon si ye dharti

aur bhi nikharti hai
bhar ke mang mein tare

raat bhar se aati hai
dard-o-gham ke maron ko

god mein sulati hai
shab ke khatm hote hi

phir sawera hota hai
phir wahi hasin manzar

dil ke dagh dhota hai
subh ka jawan suraj

chahchahe parindon ke
aankh kholti kaliyan

hanste khelte bachche
phir jawan jawan mahfil

pur dilon ke paimane
waqt roz likhta hai

zindagi ke afsane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close