sarguzasht-e-nauhagar hai zindagi dastan-e-ashk-e-tar hai zindagi kya udegi wadi-e-ummid mein tair-e-be-baal-o-par hai zindagi aankh jhapki ho gaya qissa tamam aah kitni mukhtasar hai zindagi pi ke bahke kyon na ehsas-e-wajud saghar-e-jadu-asar hai zindagi ibtida-e-zindagani hai ajal intiha-e-dard-e-sar hai zindagi zindagi hai ranj-o-gham ki dastan dard-e-dil soz-e-jigar hai zindagi zeb-e-gulshan munhasir hai khar par dard-e-dil par munhasir hai zindagi ji raha hai tu bhi ai 'manzar' magar ek hi andaz par hai zindagi