sham ke pech-o-kham sitaron se zina zina utar rahi hai raat yun saba pas se guzarti hai jaise kah di kisi ne pyar ki baat sehn-e-zindan ke be-watan ashjar sar-nigun mahw hain banane mein daman-e-asman pe naqsh-o-nigar shana-e-baam par damakta hai mehrban chandni ka dast-e-jamil khak mein ghul gai hai aab-e-nujum nur mein ghul gaya hai arsh ka nil sabz goshon mein nil-gun sae lahlahate hain jis tarah dil mein mauj-e-dard-e-firaq-e-yar aae dil se paiham khayal kahta hai itni shirin hai zindagi is pal zulm ka zahr gholne wale kaamran ho sakenge aaj na kal jalwa-gah-e-visal ki shamen wo bujha bhi chuke agar to kya chand ko gul karen to hum jaanen
This is a great guddu ki gun shayari. True lovers of gujarati shayari na phota will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aamir khan shayari in sarfarosh. Please share if you liked this!!!