zamin ka husn sabza hai magar ab sabz pate zard ho kar jhadte jate hain bahaaren dair se aati hain jugnu hai na titli khushbuon se rang ruthe hain jahan jangal hua karte the aur barish dhanak le kar utarti thi jahan barsat mein koyal, papihe chahchahate the wahan ab khak udti hai darakhton ki kami se aa gai hai dhup mein shiddat faza ka mehrban haala pighalta ja raha hai aasman tanbe mein dhalta ja raha hai is liye be-mehr mausam ab satate hain dhuen ke, gard ke, aaludgi ke, shor ke mausam gali, kuchon, gharon mein kar-khanon mein bas ab sadak par shor bahta hai sunai hi nahin deta hamara dil jo kahta hai mohabbat ka parinda aaj-kal khamosh rahta hai parinde pyas mein dube hain aur pani nahin pite ki dariyaon ki shiryanon mein ab shaffaf pani ki jagah aaludgi ka zahr hai hamein jab bahr o bar ki hukmarani di gai hai to ye hum ko sochna hoga zaminon, paniyon, mahaul ki bimariyon ka koi mudawa hai kahin in ka sabab hum to nahin bante? sabab koi bhi ho aakhir mudawa kuchh to karna hai ye taswir-e-jahan hai rang is mein hum ko bharna hai
This is a great ruthe ho shayari. Please share if you liked this!!!