guman ka mumkin- jo tu hai main hun

karim suraj
jo thande patthar ko apni golai

de raha hai
jo apni hamwari de raha hai

(wo thanda patthar jo mere manind
bhure sabzon mein

dur reg o hawa ki yaadon mein lotta hai)
jo bahte pani ko apni dariya-dili ki

sarshaari de raha hai
wahi mujhe jaanta nahin

magar mujhi ko ye wahm shayad
ki aap-apna subut apna jawab hun main!

mujhe wo pahchanta nahin hai
ki meri dhimi sada

zamane ki jhil ke dusre kinare
se aa rahi hai

ye jhil wo hai ki jis ke upar
hazaron insan

ufuq ke mutawazi chal rahe hain
ufuq ke mutawazi chalne walon ko par lati hain

waqt lahren
jinhen tamanna, magar, samawi khiram ki ho

inhi ko patal zamzamon ki sada sunati hain
waqt lahren

unhen duboti hain waqt lahren!
tamam mallah us sada se sada hirasan, sada gurezan

ki jhil mein ek umud ka chor chhup ke baitha hai
us ke gesu ufuq ki chhat se latak rahe hain

pukarta hai: ab aao, aao!
azal se main muntazir tumhaara

main gumbadon ke tamam raazon ko jaanta hun
darakht minar burj zine mere hi sathi

mere hi mutawazi chal rahe hain
main har hawai-jahaz ka aakhiri basera

samundaron par jahaz-ranon ka main kinara
ab aao, aao!

tumhaare jaise kai fasanon ko main ne un ke
abad ke aaghosh mein utara

tamam mallah is ki aawaz se gurezan
ufuq ki shah-rah-e-mubtazil par tamam sahme hue khiraman

magar samawi khiram wale
jo past o baala ke aastan par jame hue hain

umud ke is tanab hi se utar rahe hain
isi ko thame hue bulandi pe chadh rahe hain!

isi tarah main bhi sath in ke utar gaya hun
aur aise sahil par aa laga hun

jahan khuda ke nishan-e-pa ne panah li hai
jahan khuda ki zaif aankhen

abhi salamat bachi hui hain,
yahi samawi khiram mera nasib nikla

yahi samawi khiram jo meri aarzu tha
magar na jaane

wo rasta kyun chuna tha main ne
ki jis pe khud se visal tak ka guman nahin hai?

wo rasta kyun chuna tha main ne
wo ruk gaya hai dilon ke ibham ke kinare?

wahi kinara ki jis ke aage guman ka mumkin
jo tu hai main hun!

magar ye sach hai
main tujh ko pane ki (khud ko pane ki) aarzu mein nikal pada tha

us ek mumkin ki justuju mein
jo tu hai main hun

main aise chehre ko dhundhta tha
jo tu hai main hun

main aisi taswir ke taaqub mein ghumta tha
jo tu hai main hun!

main is taaqub mein
kitne aaghaz gin chuka hun

(men us se darta hun jo ye kahta
hai mujh ko ab koi dar nahin hai)

main is taaqub mein kitni galiyon se,
kitne chaukon se,

kitne gunge musass se, guzar gaya hun
main is taaqub mein kitne baghon se,

kitni andhi sharab raaton se,
kitni banhon se,

kitni chahat ke kitne bifre samundaron se
guzar gaya hun

main kitni hosh o amal ki shamon se,
kitne iman ke gumbadon se

guzar gaya hun
main is taaqub mein kitne aaghaz kitne anjam gin chuka hun

ab is taaqub mein koi dar hai
na koi aata hua zamana

har ek manzil jo rah gai hai
faqat guzarta hua fasana

tamam raste, tamam bujhe sawal, be-wazn ho chuke hain
jawab, tarikh rup dhaare

bas apni takrar kar rahe hain
jawab hum hain jawab hum hain

hamein yaqin hai jawab hum hain
yaqin ko kaise yaqin se dohra rahe hain kaise!

magar wo sab aap apni zid hain
tamam, jaise guman ka mumkin

jo tu hai main hun!
tamam kunde (tu jaanti hai)

jo sath-e-dariya pe sath dariya ke tairte hain
ye jaante hain ye hadse

ki jis se un ko,
(kisi ko) koi mafar nahin!

tamam kunde jo sath-e-dariya pe tairte hain,
nahang banna ye un ki taqdir mein nahin hai

(nahang ki ibtida mein hai ek nahang shamil
nahang ka dil nahang ka dil!)

na un ki taqdir mein hai phir se darakht banna
(darakht ki ibtida mein hai ek darakht shamil

darakht ka dil darakht ka dil!)
tamam kunde ke samne band wapsi ki

tamam rahen
wo sath-e-dariya pe jabr-e-dariya se tairte hain

ab un ka anjam ghat hain jo
sada se aaghosh wa kiye hain

ab un ka anjam wo safine
abhi nahin jo safina-gar ke qayas mein bhi

ab un ka anjam
aise auraq jin pe harf-e-siyah chhapega

ab un ka anjam wo kitaben
ki jin ke qari nahin, na honge

ab un ka anjam aise surat-garon ke parde
abhi nahin jin ke koi chehre

ki un pe aansu ke rang utren,
aur in mein aainda

un ke ruya ke naqsh bhar de
gharib kundon ke samne band wapsi ki

tamam rahen
baqa-e-mauhum ke jo raste khule hain ab tak

hai un ke aage guman ka mumkin
guman ka mumkin jo tu hai main hun,

jo tu hai mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close