sanwli

sanwle jism ki har qaus mein lahraata hai
muskuraati hui shamon ka salona jadu

raqs karti hai tere husn ki ranai mein
wadi-e-najd ke jhonkon ki lajili khushbu

ye tere dosh pe bal kha ke bikharti zulfen
jaise mabad mein sulagte hue sandal ka dhuan

jaise maghmum musawwir ke siyah-posh khayal
jaise mauhum jaziron ki chhabeli pariyan

tu wo barsat ki ghanghor ghata hai jis mein
ek kaifiyat naghmat chhupi baithi hai

dudhiya husn se ukta ke meri nazron ne
jab bhi dekha hai tere rang ka bharpur nikhaar

gunj uthi zehn mein udte hue bhanwaron ki sada
rach gai ruh mein gati hui koyal ki pukar

kaun hai jis ne tera zikr na chheda ho kabhi
ab to har bazm ka hai ek hi mauzu-e-sukhan

koi deta hai laqab laila-e-be-mahmil ka
koi kahta hai tujhe pyar se kali nagin

kaun sa lafz tere waste ijad karun
sochta hun tujhe kis nam se main yaad karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close