hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do

hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do
ai kash ki is ek ki ho jaen dawa do
tha khar-e-jigar hijr mein tanha gham-e-duri
hain aafat-e-jaan wasl mein ab sharm-o-haya do
mastana-rawish kyun na chale wo nigah-e-naz
aankhen hain ki hain jam-e-mai-e-hosh-ruba do
ji tang hai kya kijiye aur josh-e-bala ye
dil ek hai kya dijiye aur zulf-e-dota do
hai ain inayat jo nishan puchhiye mera
ye bhi nahin manzur to apna hi pata do
kya dam-e-fareb us ne bichhaya hai dil-awez
do aan phansen aur jo ho jaen riha do
gar naz-khud-ara ko hai yaktai ka dawa
kyun aaina dekha ki hue jalwa-numa do
bebaki-o-shokhi bhi hai aur sharm-o-haya bhi
do mahram-e-asrar hain to parda-kusha do
do gesu-o-do zulf-e-bala-khez hain chaaron
han kakul-e-khamdar bhi hain un ke siwa do
wo tarz-o-rawish hae wo andaz-o-ada haif
kya bachte dil-o-jaan kuja chaar kuja do
seri-e-nazar bhi na hui hae mayassar
aankhen jo huin chaar lage tir-e-qaza do

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai
kaam be-kar jawanon ka ghazal-khwani hai
gham ki takmil ka saman hua hai paida
laiq-e-fakhr meri be-sar-o-samani hai
sang o aahan to bane aaine un ki khatir
dil na aaina bana sakht ye hairani hai
mujh se is darja khafa kyun ho koi parda-nashin
aarzu did ki jab fitrat-e-insani hai
faisla dil ka mohabbat mein hai rahbar apna
fikr kiya manzil-e-jaanan agar anjaani hai
wo karen ya na karen apni jafa se tauba
mere dil ko magar ehsas-e-peshemani hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close