nazar jhukae urus-e-fitrat jabin se zulfen hata rahi hai sahar ka tara hai zalzale mein ufuq ki lau tharthara rahi hai rawish rawish naghma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-rang-o-bu hai tuyur shakhon pe hain ghazal-khwan kali kali gunguna rahi hai sitara-e-subh ki rasili jhapakti aankhon mein hain fasane nigar-e-mahtab ki nashili nigah jadu jaga rahi hai tuyur bazm-e-sahar ke mutrib lachakti shakhon pe ga rahe hain nasim firdaus ki saheli gulon ko jhula jhula rahi hai kali pe bele ki kis ada se pada hai shabnam ka ek moti nahin ye hire ki kil pahne koi pari muskura rahi hai sahar ko madd-e-nazar hain kitni riayten chashm-e-khun-fishan ki hawa bayaban se aane wali lahu mein surkhi badha rahi hai shaluka pahne hue gulabi har ek subuk pankhudi chaman mein rangi hui surkh odhni ka hawa mein pallu sukha rahi hai falak pe is tarah chhup rahe hain hilal ke gird-o-pesh tare ki jaise koi nai naweli jabin se afshan chhuda rahi hai khatak ye kyun dil mein ho chali phir chatakti kaliyo? zara thaharna hawa-e-gulshan ki narm ro mein ye kisi ki aawaz aa rahi hai?