
ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum ab nikal aae hain le ke apna alam ye mahallat ye unche unche makan in ki buniyaad mein hai hamara lahu kal jo mehman the ghar ke malik bane shah bhi hai adu shaikh bhi hai adu kab talak hum sahen ghasibon ke sitam ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum ab nikal aae hain le ke apna alam itna sada na ban tujh ko malum hai kaun ghere hue hai filistin ko aaj khul ke ye nara laga ai jahan qatilo rah-zano ye zamin chhod do hum ko ladna hai jab tak ki dam mein hai dam ai jahan dekh le kab se be-ghar hain hum ab nikal aae hain le ke apna alam