halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka

halqa halqa ghar bana lakht-e-dil-e-betab ka
zulf-e-jaanan mein hai aalam subha-e-simab ka
sone mein nazzara kar lun ru-e-alam-tab ka
khauf kya duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtab ka
khel bhi betab tha tifli mein us betab ka
par udata tha hawa par mahi-e-be-ab ka
ruk nahin sakta hai dariya dida-e-pur-ab ka
pat hai rumal mera daman-e-sailab ka
khwab mein yaran-e-rafta se mulaqaten huin
hum ne samjha khizr ghaflat ko rah-e-ahbab ka
kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw
aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka
nind ki surat nahin dekha ba-juz dagh-e-jigar
parda meri aankh mein shayad ki hai kam-khwab ka
lag gai aag aatish-e-rukh se naqab-e-yar mein
dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka
majlis-e-be-shama wo hain sham-e-be-majlis hun main
gham mera ahbab ko hai mujh ko gham ahbab ka
hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae
dhyan muddat se chhuta aab-o-taam-o-khwab ka
ahl-e-taslim-o-raza se sar-bulandon ki hai zeb
khushnuma zer-e-manar o qurb hai mehrab ka
jhuk ke hum ne bosa-e-abru ki jab mangi dua
halqa-e-aghosh par aalam hua mehrab ka
is qadar fariyaad mahshar-khez ai bulbul na kar
dekhna takhta na ulte gulshan-e-shadab ka
mohr-e-dast-awez-e-gham hai har bashar ka dagh-e-gham
dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbab ka
be-takalluf aa gaya wo mah dam-e-fikr-e-sukhan
rah gaya pas-e-adab se qafiya aadab ka
parwarish taqdir karti hai mujhe bahr-e-qaza
zabh ko parwarda karna kaam hai qassab ka
nashsha-e-jurat ziyaada ho gaya ai mai-kasho
saghar-e-mai ban gaya kasa sar-e-sohrab ka
mu-e-atish-did san bal khae wo mu-e-kamar
main jo likkhun garm mazmun us tilai dab ka
ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir
chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka
khal-o-khat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin
husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka
dost dushman se ziyaada tez rakhte hain chhuri
barhaman bhi pesha ab karne lage qassab ka
hont par angusht-e-rangin rakh ke wo kahne lage
shakh-e-marjaan ne samar paida kiya unnab ka
laghari ke sath betabi yahi ai bahr-e-husn
khar hai ye jism-e-laghar mahi-e-be-ab ka
teri furqat mein jo aae bhul kar aankhon mein nind
marduman-e-chashm ne phir munh na dekha khwab ka
mere murgh-e-dil ki betabi udai kis tarah
hausla aisa nahin hai tair-e-simab ka
khidmat-e-aqdas mein chal kar ye ghazal padh ai 'munir'
shohra sab ahl-e-sukhan mein hai tere nawwab ka

bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate

bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate
hum se ab itne samundar nahin dekhe jate
us se milna hai to phir sada-mizaji se milo
aaine bhes badal kar nahin dekhe jate
waza-dari to buzurgon ki amanat hai magar
ab ye bikte hue zewar nahin dekhe jate
zinda rahna hai to haalat se darna kaisa
jang lazim ho to lashkar nahin dekhe jate

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close