hasrat

sukut-e-zindagi hai dushman-e-jaan ab to aa jao
meri hasti hai khud mujh se pareshan ab to aa jao
suna hai aaj-kal main aur bhi be-tab rahta hun
meri aankhon se hasrat hai numayan ab to aa jao

etimad

main ne socha tha ki is bar tumhaari bahen
meri gardan mein ba-sad-shauq hamail hongi
mushkilen rah-e-mohabbat mein na hail hongi
main ne socha tha ki is bar nigahon ke salam
aaenge aur ba-andaz-e-digar aaenge
phul hi phul fazaon mein bikhar jaenge
main ne socha tha ki is bar tumhaari sansen
meri bahki hui sanson se lipat jaengi
bazm-e-ehsas ki tarikiyan chhat jaengi
main ne socha tha ki is bar tumhaara paikar
mere be-khwab darichon ko sula jaega
mere kamre ko saliqe se saja jaega
main ne socha tha ki is bar mere aangan mein
rang bikhrenge umidon ki dhanak tutegi
meri tanhai ke aariz pe shafaq phutegi
main ne socha tha ki is bar ba-in surat-e-haal
mere darwaze pe shahnaiyan sab dekhenge
jo kabhi pahle nahin dekha tha ab dekhenge
main ne socha tha ki is bar mohabbat ke liye
gungunate hue jazbon ki baraat aaegi
muddaton baad tamannaon ki raat aaegi
tum mere ishq ki taqdir banogi is bar
jit jaega mera josh-e-junun socha tha
aur ab soch raha hun ki ye kyun socha tha

daricha-ha-e-KHayal

chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur ye sab daricha-ha-e-khayal
jo tumhaari hi samt khulte hain
band kar dun kuchh is tarah ki yahan
yaad ki ek kiran bhi aa na sake
chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur khud bhi na yaad aaun tumhein
jaise tum sirf ek kahani thin
jaise main sirf ek fasana tha

jo ab bhi na taklif farmaiyega

jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas hath malte hi rah jaiyega
nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamein paiyega
mera jab bura haal sun paiyega
khiraman khiraman chale aaiyega
mita kar hamein aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega
nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega
hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par
kahan tak tawajjoh na farmaiyega
sitam ishq mein aap aasan na samjhen
tadap jaiyega jo tadpaiyega
ye dil hai ise dil hi bas rahne dije
karam kijiyega to pachhtaiyega
kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega
bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega
hamein bhi na ab chain aaega jab tak
in aankhon mein aansu na bhar laiyega
tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat
mudawa-e-furqat na farmaiyega
mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabiat ko behlaiyega
na hoga hamara hi aaghosh khali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega
junun ki 'jigar' koi had bhi hai aakhir
kahan tak kisi par sitam dhaiyega

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close