ana ki qaid se nikle muqabla to kare

ana ki qaid se nikle muqabla to kare
wo mera sath nibhane ka hausla to kare
kabhi na tutne wala hisar ban jaun
wo meri zat mein rahne ka faisla to kare
use main saunp dun apni ye muntazir aankhen
wo meri khoj mein jaane ka tazkira to kare
zamane bhar ko main apni giraft mein le lun
mera nasib mujhe tujh se mawara to kare
main us ko kho ke adhura wo mujh ko pa ke udas
hamare karb ka koi muazna to kare

ab ye sochun to bhanwar zehn mein paD jate hain

ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jate hain
kaise chehre hain jo milte hi bichhad jate hain
kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujad jate hain
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise
aisi rut mein to ghane ped bhi jhad jate hain
ab koi kya mere qadmon ke nishan dhundega
tez aandhi mein to kheme bhi ukhad jate hain
shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log
pattharon mein bhi kabhi aaine jad jati hain
soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath
chand chehron ke khad-o-khal bigad jate hain
shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi
kuchh diye tund hawaon se bhi lad jate hain
wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki khatir
khud-tarashida usulon pe bhi ud jate hain

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close