
ai himala ai fasil-e-kishwar-e-hindustan chumta hai teri peshani ko jhuk kar aasman tujh mein kuchh paida nahin derina rozi ke nishan tu jawan hai gardish-e-sham-o-sahar ke darmiyan ek jalwa tha kalim-e-tur-e-sina ke liye tu tajalli hai sarapa chashm-e-bina ke liye imtihan-e-dida-e-zahir mein kohistan hai tu pasban apna hai tu diwar-e-hindustan hai tu matla-e-awwal falak jis ka ho wo diwan hai tu su-e-khalwat-gah-e-dil daman-kash-e-insan hai tu barf ne bandhi hai dastar-e-fazilat tere sar khanda-zan hai jo kulah-e-mehr-e-alam-tab par teri umr-e-rafta ki ek aan hai ahd-e-kuhan wadiyon mein hain teri kali ghataen khema-zan chotiyan teri surayya se hain sargarm-e-sukhan tu zamin par aur pahna-e-falak tera watan chashma-e-daman tera aaina-e-sayyal hai daman-e-mauj-e-hawa jis ke liye rumal hai abr ke hathon mein rahwar-e-hawa ke waste taziyana de diya barq-e-sar-e-kohsar ne ai himala koi bazi-gah hai tu bhi jise dast-e-qudrat ne banaya hai anasir ke liye hae kya fart-e-tarab mein jhumta jata hai abr fil-e-be-zanjir ki surat uda jata hai abr jumbish-e-mauj-e-nasim-e-subh gahwara bani jhumti hai nashsha-e-hasti mein har gul ki kali yun zaban-e-barg se goya hai us ki khamushi dast-e-gul-chin ki jhatak main ne nahin dekhi kabhi kah rahi hai meri khamoshi hi afsana mera kunj-e-khalwat khana-e-qudrat hai kashana mera aati hai naddi faraaz-e-koh se gati hui kausar o tasnim ki maujon ko sharmati hui aaina sa shahid-e-qudrat ko dikhlati hui sang-e-rah se gah bachti gah takraati hui chhedti ja is iraq-e-dil-nashin ke saz ko ai musafir dil samajhta hai teri aawaz ko laila-e-shab kholti hai aa ke jab zulf-e-rasa daman-e-dil khinchti hai aabshaaron ki sada wo khamoshi sham ki jis par takallum ho fida wo darakhton par tafakkur ka saman chhaya hua kanpta phirta hai kya rang-e-shafaq kohsar par khush-numa lagta hai ye ghaza tere rukhsar par ai himala dastan us waqt ki koi suna maskan-e-aba-e-insan jab bana daman tera kuchh bata us sidhi-sadhi zindagi ka majra dagh jis par ghaza-e-rang-e-taklluf ka na tha han dikha de ai tasawwur phir wo subh o sham tu daud pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu