kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin mushkil hain agar haalat wahan dil bech aaen jaan de aaen dil walo kucha-e-jaanan mein kya aise bhi haalat nahin jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahti hai ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin maidan-e-wafa darbar nahin yan nam-o-nasab ki puchh kahan aashiq to kisi ka nam nahin kuchh ishq kisi ki zat nahin gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa gar jit gae to kya kahna haare bhi to bazi mat nahin