ye tajiran-e-din hain khuda ke ghar makin hain har ek khuda ke ghar pe un ko apna nam chahiye khuda ke nam ke ewaz kul intizam chahiye har ek chahta hai ye mera khuda kharid lo na kar sake ye tum agar ye tajiran-e-pesha-war karenge tum se yun khitab intiqam chahiye meri kitab jo kahe wo hi nizam chahiye khuda ke jitne rup hain unhon ne khud banae hain har ek khuda mein sahibo wo sari khubiyan hain jo unhen bahut aziz hain har ek dukan par yahan naya khuda saja hua har ek dukan-dar ki faqat yahi hai iltija mera khuda kharid lo khuda ki bhi sune koi wo kah raha hai bas yahi ki sahibo main ek hun mere siwa koi nahin kisi ki baat mat suno mera to koi ghar nahin dilon mein bas raha hun main har ek pal har ek sans tum mein ji raha hun main na khud tum apni jaan lo ki tum hi meri jaan ho jo tum ne jaan war di to main kahan basunga phir mera to koi ghar nahin jo bechte hain apne ghar saja ke mere nam par ye nafs ke asir hain ye log be zamir hain