taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi tujh ko is wadi-e-rangin se aqidat hi sahi meri mahbub kahin aur mila kar mujh se bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya mani sabt jis rah mein hon satwat-e-shahi ke nishan us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani meri mahbub pas-e-parda-e-tashhir-e-wafa tu ne satwat ke nishanon ko to dekha hota murda-shahon ke maqabir se bahalne wali apne tarik makanon ko to dekha hota an-ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke lekin un ke liye tashhir ka saman nahin kyunki wo log bhi apni hi tarah muflis the ye imaraat o maqabir ye fasilen ye hisar mutlaq-ul-hukm shahanshahon ki azmat ke sutun sina-e-dahr ke nasur hain kohna nasur jazb hai un mein tere aur mere ajdad ka khun meri mahbub unhen bhi to mohabbat hogi jin ki sannai ne bakhshi hai use shakl-e-jamil un ke pyaron ke maqabir rahe benam-o-numud aaj tak un pe jalai na kisi ne qindil ye chaman-zar ye jamuna ka kinara ye mahal ye munaqqash dar o diwar ye mehrab ye taq ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar hum gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq meri mahbub kahin aur mila kar mujh se